ai mere shahr-e-ishq tera kaisa bakht hai main jis ko dekhta hun wahi lakht lakht hai khush ho raha hun is liye mitti pe baith kar yaro yahi zamin mera pahla takht hai chhanw ki justuju bhi kahan le ke aa gai sahra se puchhta hun kahin par darakht hai duniya mere mizaj ko samjhi nahin abhi shayad isi liye mera lahja karakht hai ek pal mein kaise niklun main duniya samet kar sari zamin pe bikhra hua mera rakht hai 'ehsan' wo to phul se nazuk laga mujhe main to samajh raha tha wo patthar se sakht hai