diya fareb tamanna ko har ghadi main ne murad man ki na pai magar kabhi main ne umid-o-bim se dil ko najat mil na saki guzar di hai tazabzub mein zindagi main ne khirad ka rag mere gham se dad pa na saka junun ko saunp diya saz-e-agahi main ne bula ke mujh ko sar-e-bazm be-hijab kiya tere karam ki haqiqat bhi dekh li main ne visal-o-hijr ke jhagdon se be-niyaz hun main isi mein dekhi hai le de ke behtari main ne tere junun ke talluq main kya kahun 'sabir' tujhe qarib se dekha nahin abhi main ne