ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki khair nazuki daur-e-bala, husn ke saman ki khair raat din sham sahar pahar ghadi pal saat mangte jati hai hum ko teri aan aan ki khair mehndi choti ho siwai ho chamak peti ki umr choti ki badi zulf-e-pareshan ki khair be-tarah bojh se jhumkon ke jhuke padte hain kijo allah tu un jhumkon ki aur kan ki khair pan khaya hai to is waqt bhi lazim hai yahi ek bosa hamein dije lab-o-dandan ki khair aankh utha dekhiye aur dekh ke hans bhi dije apne kajal ki zakat aur misi-o-pan ki khair pahle jis aan tumhaari ne liya dil hum se ab talak mangte hain dil se hum us aan ki khair kya ghazab nikle hai ban-than ke wo kafir yaro aaj hoti nazar aati nahin iman ki khair jitne mahbub pari-zad hain duniya mein 'nazir' sab ke allah kare husn ki aur jaan ki khair