chhuti ummid to main haal-e-dil kahne se kyun darta masal mashhur hai sarkar marta kya nahin karta bahut achchha hua dushman ne mujh se dushmani kar li siwa mere na jaane aur kis kis ko ye le marta agar dushman se aise pesh aate to maza pate karun kya arz jo bartaw mujh se aap ne barta kisi paiman-shikan ne rukte rukte baat to kar li jo wade hi pe hum udte to ye karta na wo karta nahin mujh se teri be-e'tinai qabil-e-hairat gharib insan duniya ki nigahon mein nahin bharta safi' ne thokaren kha ke bhi apni waza kab badli samajh wala agar hota hasinon se bahut darta