na koi dar na daricha magar makan to hai zamin hai zer-e-qadam sar pe aasman to hai hazar jalwon ka to raaz-dan hai aaina hui na aankh mayassar tujhe zaban to hai badalta rahta hai rang aasman lamhon mein sitam-shiar abhi mujh se khush-guman to hai gham-e-hayat se ghabra ke tajarbe ke liye chale hi jaenge ab dusra jahan to hai tamam sahra-o-dasht-o-jabal kahen labbaik azal se phaili fazaon mein ek azan to hai zahe-nasib jagah thodi chashm-e-tar mein mili sulagti dhup mein ek sard saeban to hai mohr-ba-lab hun pa shart-e-kalam qaem hai meri shakeb-e-ayazi ka imtihan to hai saud fikr-e-taghazzul ko bojh hai to rahe har ek harf haqiqat ka tarjuman to hai asar ke sher mein husn-o-kashish ki hai taujih nai jihat na sahi zeb-e-dastan to hai