ai naseho na aur koi guftugu karo gar ho sake to chaak-e-gareban rafu karo hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq yan shart hai ki apne lahu se wuzu karo phir jis tarah bhi chaho karo hum pe tabsira pahle hamari tarah se jine ki khu karo phir koi le gaya hai charaghon ki raushni ta-subh aaj apne jigar ko lahu karo wo to nahin ye us ka hi ham-shakl hai koi ab us ki chal ke aur kahin justuju karo aaj us hasin se mil ke ajab kaifiyat mein hun koi raqib ho to mere ru-ba-ru karo