ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz tu ne bakhshe bahut aaram teri umr daraaz shahr mein dasht mein sahra mein jahan bhi dekha ab hai mashhur mera nam teri umr daraaz surkh-ru ab bhi tu har kucha-o-bazar mein hai apne sar hain sabhi ilzam teri umr daraaz fasl-e-gul aai thi le le ke tera nam gai tu kahan phirta tha na-kaam teri umr daraaz subh ne phir mere zakhmon se ujala manga ek zakhm aur mere nam teri umr daraaz dil ke tarik kharabe mein teri yaad ka nur aaj aaya hai bade kaam teri umr daraaz chhod kar phulon ki rut phul se chehron ko 'shoeb' tujh ko virane se kya kaam teri umr daraaz