tah-e-girdab to bachna mera dushwar hai phir bhi kinare dur hain tuti hui patwar hai phir bhi thakan se chur hun, sar rakh diya hai us ke sine par mujhe malum hai ye ret ki diwar hai phir bhi mata-e-rishta-e-jaan karobar-e-manfat kab thi kharidaron ke halqe mein sar-e-bazar hai phir bhi meri mutthi mein nazuk pankhudi mahfuz rahti hai bachana sang-bari mein use dushwar hai phir bhi tere lahje ki shabnam jazb kar de kuchh nami is mein agarche dil sulagti ret ka ambar hai phir bhi charagh-e-arzu hai muntazir dahliz par meri wo duri ke dhundlakon mein bahut lachaar hai phir bhi samundar tishnagi ka ab sarab-e-ishq mein zam hai shikasta haal mera shisha-e-pindar hai phir bhi ye miti chaak par thamti nahin hai, itni gili hai kathin ye marhala hai, kuza-gar la-chaar hai phir bhi