ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum thahar gae ye bhi nahin ki zinda hain ye bhi nahin ki mar gae khwab talak rihai thi tere firaq-o-hijr se aankh khuli to aaine tah mein kahin utar gae tu bhi meri tarah raha dhyan uthae shahr ka soe to chhanw so gai qafile kuch kar gae tujh ko bahut qarib se dekh ke yun laga ki ab khema-e-jaan ukhad gaya dasht-e-talab guzar gae dil ki gawahi ke liye rasm-e-dua buri na thi ranj-e-khumar-e-be-samar dhundne us ke ghar gae hum hi the wo bala-kashan dar-o-rasan the jin ki jaan hum hi the shab ke ham-safar hum hi na apne ghar gae dil ko tere firaq ki aarzu yaad rah gai din wo mohabbaton ke bhi misl-e-rah-e-safar gae mere liye bhi khwab the us ne rakhe hue kahin shahr mein un ko dhundne qasid-e-be-hunar gae