bichhde hain kab se qafila-e-raftagan se hum mil jaenge kabhi na kabhi karwan se hum rah rah ke puchhte hain yahi baghban se hum le jaen chaar tinke kahan aashiyan se hum majbur kis qadar hain dil-e-bad-guman se hum dekhe koi ki chup hain khade be-zaban se hum allah re uruj-e-takhayyul ke hausle chal kar makan se badh gae kuchh la-makan se hum baad-e-khizan ne rang-e-chaman kya uda diya aakhir ko nikle khak-basar bostan se hum kis munh se hath uthaen duaen hain be-asar phir bhi hai dil mein chhed karen aasman se hum wo mai pilai saqi ne hain jis se hosh-e-gham jagen na jagen dekhiye khwab-e-giran se hum wo sarzamin kahan ki na ho gardish-e-falak mumkin nahin ki bach ke rahen aasman se hum aakhir junun mein mil gain daman ki dhajjiyan le aae un ko wadi-e-wahshat-nishan se hum kam-maegi mein nazil hai ijz-o-niyaz par ab kya uthaen sar ko tere aastan se hum kaisi chamak kahan ki khatak uf re be-hisi hain mast zauq-e-lazzat-e-dard-e-nihan se hum majbur dil tha hukm-e-qaza-o-qadar se 'shauq' ab kya bataen aae yahan phir kahan se hum