hadisa kya hua KHuda jaane

hadisa kya hua khuda jaane
jama hain gird apne begane

ek dil aur sainkadon naseh
kaise har ek ka kaha mane

aate jate hain kis liye ye log
aaj kya ho gaya khuda jaane

har ghadi sabr-o-zabt ki talqin
khul ke rone diya na duniya ne

zakhm sine pe ashk aankhon mein
bas yahi kuchh diya hai duniya ne

pyas bujhti thi jis se rindon ki
dekh khali hain ab wo paimane

dil mein raushan hain yaad ki shamen
jal-bujhe aarzu ke parwane

badh gai aur dil ki betabi
kaun aaya hai aaj samjhane

dil ko kya kya diye fareb ke dars
zindagi bhar teri tamanna ne

rah na jaana ulajh ke ai nadan
zulf-e-giti chala hai suljhane

shahr mein tere ishq ke ai 'raaz'
jitne munh aaj utne afsane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close