ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin nala-e-nim-shabi tujh mein asar hai ki nahin jaan par apni main khela hun judai mein teri be-khabar tujh ko bhi kuchh us ki khabar hai ki nahin ek muddat hui hum wasf-e-kamar karte hain par ye malum nahin us ke kamar hai ki nahin rakh na sozan ko zara dekh to le ai jarrah qabil-e-bakhiya mera zakhm-e-jigar hai ki nahin kya khush aai hai dila manzil-e-hasti tujh ko sach bata yan se tera azm-e-safar hai ki nahin to jo be-parda ho munh ghair ko dikhlata hai pas mera bhi kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahin dekh tu ai but-e-be-mehr teri furqat mein har-bun-e-mue mera dida-e-tar hai ki nahin us ke dar par hi jo rahta hun main din raat pada mujh se jhunjhla ke kahe hai tere ghar hai ki nahin 'mushafi' us ki gali mein jo tu jata hai sada apni badnami ka kuchh tujh ko bhi dar hai ki nahin