tis bhi tis na thi zakhm-e-jigar hone tak phul bhi phul na tha khun mein tar hone tak wahi haqdar hai suraj ki kiran ka jis ne raat ki zulf sanwari hai sahar hone tak tare diwane nahin hain ki jo thame hi rahen daman-e-shab ko gareban-e-sahar hone tak puchhiye khizr se kya wo bhi rahenge zinda apni baaton ka hababon pe asar hone tak ek aansu ki tarah tum mujhe rukhsat karna rok lo palkon pe aaghaz-e-safar hone tak zindagani ki haqiqat ko na samjhe 'saulat' shairi karte rahe umr basar hone tak