mujh mast ko mai ki bu bahut hai diwane ko ek hu bahut hai moti ki tarah jo ho khuda-dad thodi si bhi aabru bahut hai jate hain jo sabr-o-hosh jaen mujh ko ai dard tu bahut hai manind-e-kalim badh na ai dil ye dard ki guftugu bahut hai be-kaif ho mai to khum ke khum kya achchhi ho to ek subu bahut hai kya wasl ki shab mein mushkilen hain fursat kam aarzu bahut hai manzur hai khun-e-dil jo ai yas apne liye aarzu bahut hai ai nashtar-e-gham ho lakh tan-e-khushk tere dam ko lahu bahut hai chhede wo mizha to kyun main roun aankhon mein khalish ko mu bahut hai ghunche ki tarah chaman mein saqi apna hi mujhe subu bahut hai kya gham hai 'amir' agar nahin mal is waqt mein aabru bahut hai