baitho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain dur dur se aane wale raste kahin kahin milte hain wahm bhi ho jata hai dil ko lekin is mein tajjub kya hai aise dasht ki jin mein shamen aap hi aap jalin, milte hain gahre surkh gulab ka andha bulbul sanp ko kya dekhega pas hi ugti nag-phani thi sare phul wahin milte hain kan mein moti hath mein kangan phul chameli ka jude mein kya kya rang jamane wale aankhen jin se basin, milte hain tere jism ki dhaar katar si aankh ke pardon mein tadpi thi khakistar aankhon mein kya kya un lamhon ke nagin milte hain tum ko jhuta thahra sakta kis mein itna jas hai lekin aise log bahut hote hain wada kar ke nahin milte hain kohna sarae ki raushniyon ne kah hi diya diwat ke diyon se aao aao thahro thahro mehman roz nahin milte hain sar ka sauda panw ki gardish jo bhi sabab ho na milne ka tum to sahab kya milte ho milte hain to hamin milte hain