apne qadam ki chap se yun dar rahe hain hum maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain hum kya chand aur taron ko hum jaante nahin ai aasman walo zamin par rahe hain hum mushkil tha sath-e-ab se hum ko khangalna bahar nahin the jitna ki andar rahe hain hum kal aur koi waqt ki aankhon mein ho to kya ab tak to har nigah ka mehwar rahe hain hum dair-o-haram se aur bhi aage nikal gae han aql ki hudud se bahar rahe hain hum ai ham-safar na puchh masafat nasib se tu jaanta hai kitne dinon ghar rahe hain hum bahar na aae hum bhi ana ke hisar se is jang mein tumhaare barabar rahe hain hum jharnon ki kya bisat karen guftugu 'fahim' dariya gire jahan wo samundar rahe hain hum