juz qurbat-e-jaan parda-e-jaan koi nahin tha wo tha to wahan aur jahan koi nahin tha tha ek khayal aur khayal-e-rukh-e-jaanan wo wahima-e-wahm-o-guman koi nahin tha ek saat-e-sad-sal mein thahra tha kahin dil phir qafila-e-umr-e-rawan koi nahin tha tha koi wahan jo hai yahan bhi hai wahan bhi jo hun main yahan hun main wahan koi nahin tha sad-shukr zamane ko na tha gosh-e-samaat hum ko bhi magar rabt-e-zaban koi nahin tha