ai shuur-e-zindagi dil tera girwida bhi hai maslahat-koshi se lekin teri gham-dida bhi hai apne ashkon ka main hans kar khud udata hun mazaq zindagi bhar ka magar gham in mein poshida bhi hai tut kar dhoke se bhi bikhre ye mumkin hi nahin dil mera sada sahi lekin jahan-dida bhi hai shokhi-e-dauran se kah dije na chhede wo mujhe meri fitrat mein nihan ek shakhs sanjida bhi hai chand zarre meri palkon par chamak kar rah gae warna ye dil ek sang-e-na-tarashida bhi hai kitne tufan chand qatron se utha sakta hai dil tum agar kah do meri khatir to ranjida bhi hai zindagi guzri hai yun to sab hawadis mein magar hai abhi ek hadisa aisa jo nadida bhi he hai meri nazron mein 'saqib' wusat-e-rah-e-wafa zulf-e-jaanan ki tarah lekin wo pechida bhi hai