jaanta hai tu hamari rifaton ko aasman

jaanta hai tu hamari rifaton ko aasman
hai hamari khak-e-pa se ye chamakti kahkashan

kya daraengi mujhe ye chand kali badliyan
bijliyon ke sae mein pal kar hua hun main jawan

rashk se tum is tarah dekho na mera aashiyan
tut kar tum par bhi gir sakti hain yaro bijliyan

tum jinhen kante kaha karte ho ahl-e-gulsitan
ismat-e-gul ke yahi hoti hain aksar pasban

teri mahfil mein khamoshi bhi hai mera imtihan
main zaban rakhte hue bhi ho gaya hun be-zaban

baat bhi sunna unhen meri gawara ab nahin
jin ke afsane ko di hain khun-e-dil se surkhiyan

is liye pheri hai shayad meri jaanib se nazar
dekh paoge na tum meri nigah-e-khun-chakan

ye khulus-o-mehr-o-ulfat to hasin alfaz hain
jin ke mani mein chhupi hain zindagi ki talkhiyan

hum na honge phir bhi ye duniya ise dohraegi
hum ne likh di hai ghazal mein apne dil ki dastan

bujh chuka tha teri furqat mein dil-e-'saqib' magar
teri yaadon ne kiya har gosha-e-dil zau-fishan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close