bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe kharid lun main ye naqli dawa jo tu chahe ye zard pankhdiyan jin par ki harf harf hun main hawa-e-sham mein mahken zara jo tu chahe tujhe to ilm hai kyun main ne is tarah chaha jo tu ne yun nahin chaha to kya jo tu chahe jab ek sans ghuse sath ek note pise nizam-e-zar ki hasin aasiya jo tu chahe bas ek teri hi shikam-ser ruh hai aazad ab ai asir-e-kamand-e-hawa jo tu chahe zara shikoh-e-do-alam ke gumbadon mein laraz phir us ke baad tera faisla jo tu chahe salam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kaha jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe jo tere bagh mein mazduriyan karen 'amjad' khilen wo phul bhi ek martaba jo tu chahe