az-had sawal-e-wasl pe israr ho chuka iqrar ab to kijiye inkar ho chuka wo aarzu-e-dil se khabar-dar ho chuka tamhid-e-wasl sunte hi hushiyar ho chuka saqi jo tere jam se sarshaar ho chuka bas roz-e-hashr tak bhi wo hushiyar ho chuka ab lan-tarani-o-arini ke wo din kahan khud faiz-e-ishq-e-yar se main yar ho chuka tajwiz mein saza ki kalam ab nahin raha khud mujh se jurm-e-ishq ka izhaar ho chuka saffak rahm aaya mere dil pe kab tujhe jab tir gharq ta-lab-e-sufar ho chuka ab mere haal par na sitamgar rahm kar ye dil rahin-e-lazzat-e-azar ho chuka pahunchaya zoaf ne mujhe jab bazm-e-yar tak barkhast log ho gae darbar ho chuka is mein qasam khuda ki buto jhut kuchh nahin main tum se ishq kar ke gunahgar ho chuka bad-namiyon ka khauf mujhe ab nahin raha ruswa-e-khalq main sar-e-bazar ho chuka ab iztirab kyon hai zarurat hai sabr ki 'sabir' jab un ko wasl ka iqrar ho chuka