ai yas mera ghar tera maskan to nahin hai dil hai ye tamannaon ka madfan to nahin hai kya baat hai gulzar hai kyun barq se mahfuz be-barg meri shakh-e-nasheman to nahin hai han dida-e-tahqiq se ai zauq-e-safar dekh rahbar jise samjha hai wo rahzan to nahin hai taklif asiri ki shikayat na kar ai dil ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahin hai aao ki tamannaon mein hai tab-e-nazara ye dil hai mera wadi-e-aiman to nahin hai chhu kar hi jise aatish-e-dozakh hui thandi daman ye kisi rind ka daman to nahin hai manzur hai kuchh jaanch tere azm ki us ko dar-asl zamana tera dushman to nahin hai be-sai-e-amal khak hai insan ko jina ye razm-e-gah-e-zist hai madfan to nahin hai sayyaad ijazat ki zara dekh to aaun jalta hai jo wo mera nasheman to nahin hai dekho to raha dasht-nawardi pe jo nazan wo 'arsh' rawan jaanib-e-gulshan to nahin hai