baad muddat ke ye hua malum jo hai malum wo hai na-malum kis ne khoe hain hosh kya malum kaun kafir hai ye khuda malum hum ko manzil ki hai talash bahut go nahin us ka rasta malum dil mein ek dard ki kasak si thi ab hui us ki intiha malum justaju-e-hazar ke ba-wasf kuchh hua kuchh nahin hua malum raaz-e-kaunain usi pe fash nahin jis ne samjha ki ho gaya malum us ko qudrat ne di giran-goshi jis ko hai saz ki sada malum dard se wasta hai dard se kaam go hai is dard ki dawa malum 'arsh' wo mujh ko chhodte hi nahin ab hui jurm ki saza malum