aib jo mujh mein hain mere hain hunar tera hai main musafir hun magar zad-e-safar tera hai tesha de de mere hathon mein to sabit kar dun sina-e-sang mein khwabida-sharar tera hai tu ye kahta hai samundar hai qalam-rau mein meri main ye kahta hun ki maujon mein asar tera hai tu ne raushan kiye har taq pe furqat ke charagh jis mein tanhaiyan rahti hain wo ghar tera hai sang-reze to baraste hain mere aangan mein jis ka har phal hai rasila wo shajar tera hai main to hun sang-e-hidayat ki tarah istada han magar zabta-e-rahguzar tera hai lakh be-maya hun itna bhi tahi-dast nahin meri aankhon ke sadaf mein ye guhar tera hai mujh ko tanhai se raghbat tujhe hangamon se pyar zulmat-e-shab hai meri nur-e-sahar tera hai dubte hain jo safine ye khata kis ki hai tah-nashin mauj meri hai to bhanwar tera hai 'ramz' har tohmat-e-na-karda se mansub sahi ye magar soch le us mein bhi zarar tera hai