ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa lekin main ye chahunga na jaane ke liye aa ye rukh bhi mohabbat ka dikhane ke liye aa aa mujh se nazar pher ke jaane ke liye aa muddat se hun main teri mulaqat ka talib aa mujh pe koi zulm hi dhane ke liye aa paimanon se pite hain piyen rind-e-kharabaat tu mujh ko nigahon se pilane ke liye aa arbab-e-khirad ko hai bada naz khirad par tu un ko bhi diwana banane ke liye aa kya main tere is lutf ke qabil bhi nahin hun ai jaan-e-wafa dil hi dukhane ke liye aa bardasht ise ishq ki ghairat na karegi kyun tujh se kahun main ki zamane ke liye aa