har shai mein numayan hai jalwa aankhon se magar mastur bhi hai shah-e-rag se qarin hai husn-e-azal shahpar se nazar ke dur bhi hai hai parda-andar-parda wo aur arz-o-sama ka nur bhi hai jab yaad karo nazdik hai wo jab dhundo us ko dur bhi hai mahdud bhi la-mahdud bhi hai aazad bhi hai majbur bhi hai faizan-e-nazar se har zarra hoshiyar bhi hai makhmur bhi hai hai zarra zarra bhi sahra hai qatra qatra bhi dariya samjho na to aiman hai patthar patthar ko jo samjho tur bhi hai phir jabr-o-sitam ke sae mein kuchh log khuda ban baithe hain musa hi nahin hain ab warna firaun bhi hai aur tur bhi hai jaise ghunche khil uthte hain tar ho kar ashk-e-shabnam se dil shab-bhar hijr mein ro ro kar har subh yunhi masrur bhi hai kamzor hi se taqsiren hain majburi par taziren hain ye dagar dagar mashhur bhi hai ye nagar nagar dastur bhi hai