jumbish mein zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf gardish mein chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf aariz pe zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf hain aaj do suraj-gahan ek is taraf ek us taraf matlab ishaaron se kaha main in ishaaron ke fida aankhen bhi hain garm-e-sukhan ek is taraf ek us taraf jis dam sikandar mar gaya haal-e-tahi-dasti khula the hath bairun-e-kafan ek is taraf ek us taraf jaega do ho kar ye dil aadha idhar aadha udhar khinchegi zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf ghairon se khel khelo na tum kar denge ruswa hashr mein hain do farishte jaan-e-man ek is taraf ek us taraf aariz pe simte khud-ba-khud zulfon ke ghungar wale baal hai nafa-e-mushk-e-khutan ek is taraf ek us taraf shirin ka khwahan hashr mein khusraw bhi hai farhad bhi khinchenge donon pairahan ek is taraf ek us taraf ghungat jo galon se utha tar-e-nazara jal gaya suraj the do jalwa-figan ek is taraf ek us taraf qatil idhar jarrah udhar main nim-bismil khak par ek tir-e-kash ek tir-e-zan ek is taraf ek us taraf aankhon ke andar jae ghair aankhon ke upar hai naqab khalwat mein hain do anjuman ek is taraf ek us taraf wo hatha-pai hum ne ki bistar pe tute aur gire bazu ke donon nau-ratan ek is taraf ek us taraf pesh-e-khuda roz-e-jaza main bhi hun chup qatil bhi chup goya khade hain be-dahan ek is taraf ek us taraf rukhsar par khat ka nishan gul par hua sabza ayan hain donon aariz do chaman ek is taraf ek us taraf kafir bhi hun momin bhi hun jalna bhi hai gadna bhi hai khinchenge shaikh-o-barahman ek is taraf ek us taraf ghabra na jaen dil-jigar hai band turbat mein hawa pankhe hon do nazd-e-kafan ek is taraf ek us taraf yarab uthun jab qabr se do but rahen ham-rah mere ghaarat-gar-e-hindu-o-dakan ek is taraf ek us taraf kahte hain anmol us ko sab kahte hain kuchh gol us ko sab kya chiz hai ai jaan-e-man ek is taraf ek us taraf jannat ki huren aain hain 'mail' dabane mere panw baithi hain nazdik-e-kafan ek is taraf ek us taraf