aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de dekhun jise bhi khauf-zada sa dikhai de apne hain shahr bhar mein paraya koi nahin phir bhi hamara dil hai jo tanha dikhai de takhsis koi zalim o mazlum ki nahin koi duhai de bhi to kis ki duhai de hamdard hon ghayur hon aur pur-khulus hon ai karsaz bahnon ko ab aise bhai de ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udas is kashmakash se mujh ko khudaya rihai de 'zebi' ajib daur hai ye wahshaton ka daur saya bhi apna maut ka saya dikhai de