aisi tashbih faqat husn ki badnami hai mah aariz ko likha khame ki ye khami hai rang ye un ki sabahat ne ajab dikhlaya surkh jode pe guman hota hai baadami hai kahte phirte ho bura mujh ko ye baat achchhi nahin meri ruswai mein sahab ki bhi badnami hai aap ki baaton se dil pak gaya jab kahta hun main hans ke kahte hain ye ulfat ki faqat khami hai chumta hai koi aankhon se lagata hai koi hai libas aap ka ya jama-e-ehrami hai nahin dagne ka qadam rah-e-wafa se apna jo sitam chaho karo sabr mera hami hai aap ki ishq ki iza mein hai lutf o rahat aap par khatm meri jaan dil-arami hai hum akele nahin rahte shab-e-tanhai mein yas-o-andoh-o-gham o hasrat-o-nakaami hai dil ko abru hain pasand aankh ko chashm-e-mai-gun koi duniya mein hilali hai koi jami hai lauh-e-quran jo kaha un ki jabin ko 'zeba' is mein kuchh shak nahin tashbih ye ilhami hai