aisa nahin karna kabhi waisa nahin karna ek bar bata do mujhe kya kya nahin karna kal main ne kaha tha na tumhein bhul chuka hun wo jhut tha tum us pe bharosa nahin karna khud ko to bhula baitha hun tum ko bhi bhula dun itna bhi mujhe apna khasara nahin karna ai chaaragaro dard mera us ki ata hai rahne do mujhe is ka mudawa nahin karna puchha jo sabab zabt ka phir phut padengi ab chhodo mujhe aankhon ko dariya nahin karna ninden meri raaten mere sapne mere aansu jao bhi mujhe un ka taqaza nahin karna