arz-e-talab ki hum ko ijazat kahan hai ab

arz-e-talab ki hum ko ijazat kahan hai ab
girwi qalam hai aur muqaffal zaban hai ab

roka gaya qalam ko to tesha bana liya
har lafz tir aur ye lab ek kaman hai ab

hum be-khudi mein tark-e-tamanna tak aa gae
ab fikr-e-dil nahin hai na tashwish-e-jaan hai ab

ye hijr hai ki wasl ki duri hai ya hai qurb
kya silsila ye tere mere darmiyan hai ab

yun tha ki jo bhi rut thi kalam-o-sukhan ki thi
yun hai bas ek mausam-e-ah-o-fughan hai ab

phunke hain khwab raaton ke bujhte alaw mein
aankhon mein kuchh nahin hai dhuan hi dhuan hai ab

har ek qadam pe koi bharam tutta gaya
apne yaqin ka hum ko faqat ek guman hai ab

qisse purane ho gae ranjha ke qais ke
sab ki zaban pe meri nai dastan hai ab

main aakhiri diya hun siyah-bakht raat ka
mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close