ba-waqar lahje mein pur-asar kaha jae dil ka haal kuchh bhi ho mukhtasar kaha jae wusat-e-takhayyul ko baal-o-par kaha jae shauq ki bulandi ko baam-o-dar kaha jae kyon na hum badal dalen kohna istelahon ko kyon na aaj qatil ko chaaragar kaha jae zindagi ki rahon mein kaun sath deta hai kis ko is masafat mein ham-safar kaha jae jis taraf se wo guzren bas wo rahguzar thahre aam raste ko kyon rahguzar kaha jae chahe jis tarah kahiye khatm ho nahin sakta ishq wo fasana hai umr bhar kaha jae wo chaman ho ya sahra donon ek jaise hain ek ajib uljhan hai kis ko ghar kaha jae dil ki raushni ko log kyon sahar nahin kahte waqt ke ujale ko kyon sahar kaha jae gumrahi ki manzil mein kis ko aaj ai 'jauhar' rahzan kaha jae rahbar kaha jae