aisa tera rahguzar na hoga har gam pe jis mein sar na hoga kya in ne nashe mein mujh ko mara itna bhi tu be-khabar na hoga dhoka hai tamam bahr duniya dekhega ki hont tar na hoga aai jo shikast aaine par ru-e-dil yar idhar na hoga dashnon se kisi ka itna zalim tukde tukde jigar na hoga ab dil ke tain diya to samjha mehnat-zadon ke jigar na hoga duniya ki na kar tu khwast-gari us se kabhu bahra-war na hoga aa khana-kharabi apni mat kar qahba hai ye us se ghar na hoga ho us se jahan siyah tad bhi nale mein mere asar na hoga phir nauhagari kahan jahan mein matam-zada 'mir' agar na hoga