tujh se wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha dil mein teri yaad thi lab par tera afsana tha raat jo zahid sharik-e-jalsa-e-rindana tha thi surahi khanda-lab gardish mein har paimana tha mai-kada be-jam-e-chashm-e-yar matam-khana tha dida-e-pur-khun meri aankhon mein har paimana tha ho gaya tha mujh ko jis din se asiri ka khayal meri aankhon mein to us din se chaman virana tha bazm-e-saqi mein tahi-dasti ne kho di aabru bakht-e-bad apna sharik-e-gardish-e-paimana tha main gila qismat ka karta tha to sote the nasib shikwa-e-taqdir bahr-e-khwab bakht afsana tha badh gae mitne se tere dushmanon ke hausle ai mariz-e-dard-o-gham tujh ko abhi marna na tha main ne nahaq hi 'rashid'-e-zar ko ruswa kiya aap ke sar ki qasam wo aap ka diwana tha