kisi guman-o-yaqin ki had mein wo shokh-e-parda-nashin nahin hai jahan na samho usi jagah hai jahan samajh lo wahin nahin hai tumhaara wada hai kaisa wada ki jis ka dil ko yaqin nahin hai nagin-e-be-naqsh to hazaron ye naqsh hai aur nagin nahin hai tasawwuron ke fareb utha kar mushahida wahm ban raha hai nazar ne khae hain itne dhoke ki dekh kar bhi yaqin nahin hai talawwun ek jazr-o-mad hai khud hi thapedon mein aa phansi hai kashti khabar hai muddat ke dube dil ki ki aaj tak tah-nashin nahin hai ye kahti hai gardish-e-zamana qadam thamenge na ab kisi ja hai ye bhi ek aasman ka tukda teri gali ki zamin nahin hai wafa ki hami hamiyyat un ki harif-e-ummid ghairat un ki nigahen iqrar kar rahi hain zaban pe lekin nahin nahin hai hua jo ek dil ka dagh raushan to ho gae kul charagh raushan khayal raushan dimagh raushan bas ab andhera kahin nahin hai sarishk-e-khunin ka kul fasana lapet rakha hai ek waraq mein nichodne par lahu na tapke to aastin aastin nahin hai hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen charagh kab ka bujha pada hai magar andhera kahin nahin hai mujhi pe kya hai nahin hai kis mein ye but-tarashi ye but-parasti agar na husn-e-nazar se dekho to koi bhi phir hasin nahin hai rah-e-itaat mein 'arzu' ne qadam qadam pe kiye hain sajde jo aap ka naqsh-e-pa nahin hai wo us ka naqsh-e-jabin nahin hai