dahr mein phirta hai jun baad-e-saba mastana

dahr mein phirta hai jun baad-e-saba mastana
tere diwane ka andaz har ek rindana

shauq ke phul khile husn ki qindil jali
saj gaya aap ke aate hi mera kashana

chahta hun ki yunhi mahw-e-tamasha ho kar
jalwa-e-husn ko dekha karun bebakana

jaan-nisaran-e-mohabbat ka pata deti hai
shama pe bikhri hui khak dil-e-parwana

aaj ki raat to ji bhar ke hamein pine do
aaj ki raat to gardish mein rahe paimana

zikr chhid jata hai jab 'anjum'-e-wahshi ka kabhi
hans ke kahta hai koi wo hai tera diwana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close