aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap

aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap
jaise phulon ko chhua karti hai shabnam chup-chap

tark-e-ulfat pe bhi kar jate hain akasr gumrah
mere khwabon ko tere gesu-e-pur-kham chup-chap

jaise karti hi nahin tang hamein ye masum
kaise jati hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chap

koi milta hi nahin us ko sukhan ka mauzua
baithi rahti hai mere pas shab-e-gham chup-chap

shorish-e-waqt ne bakhshi nahin ja-e-afsos
yani karna hi pada zist ka matam chup-chap

mauj-e-hangam-e-charaghan hai na wo rang-e-abir
shokhi-e-id bhi khamosh moharram chup-chap

meri aankhen hain tere husn ki goya taswir
main ne dekha hai tere husn ka aalam chup-chap

daur-e-iblis ke ye baada-gusaran 'majaz'
pite rahte hain jahannam ka jahannam chup-chap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close