wafa ki rah mein dushwar go safar bhi nahin hazar sahal sahi lekin is qadar bhi nahin mah-o-nujum ki duniya saji hui hai magar fasana gham ka mere itna mukhtasar bhi nahin juda main khud se karun tujh ko kis tarah ummid tere siwa to mera koi ham-safar bhi nahin ye kaisa dasht hai kaisa safar hai muddat se sulagti ret nahin dhup ka shajar bhi nahin zaban se apni kahun dil pe jo guzarti hai wo be-khabar hi sahi itne be-khabar bhi nahin jo zakhm khae hain 'sattar' wo dikhaun bhi wafa-shanas nahin hun to be-hunar bhi nahin