aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi jis ke darwaze ki qismat mein nahin dastak koi yun to hone ko sabhi kuchh hai mere dil mein magar is dukan par aaj tak aaya nahin gahak koi wo khuda ki khoj mein khud aakhiri had tak gaya khud ko pane ki magar koshish na ki anthak koi bagh mein kal raat phulon ki haweli lut gai chashm-e-shabnam se chura kar le gaya thandak koi de gaya aankhon ko farsh-e-rah banne ka sila de gaya binai ko saughat mein dimak koi ek bhi khwahish ke hathon mein na mehndi lag saki mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi wo bhi 'sajid' tha mere jazbon ki chori mein sharik us ki jaanib kyun nahin utthi nigah-e-shak koi