qasam khuda ki na jaana kahin nahin jaana bahut bura hai zamana kahin nahin jaana ruko ruko mere bhai pate ki baat suno yahin daba hai khazana kahin nahin jaana agar tumhein kabhi jaana ho tum chale jaana mujhe to wada nibhana kahin nahin jaana sitara khud hi mera jab tawaf karta hai to phir mujhe kahan jaana kahin nahin jaana yun hi koi nahin banta hai waqt ka sardar kate to sar bhi katana kahin nahin jaana ye dard-e-ishq tera la-ilaj hai 'yahya' use kabhi nahin jaana kahin nahin jaana