guman ke tan pe yaqin ka libas rahne do ki mere hath mein khali gilas rahne do zamana guzra hai khushiyon ka sath chhode hue mere mizaj ko ab gham-shanas rahne do amal ki rut mein panapti hain tahniyan haq ki milao sach se nigahen qayas rahne do wo khwab ko bhi haqiqat samajh ke jite hain isi mein khush hain to ye iltibas rahne do mila ke hath shayatin se dekhte ho mujhe ananiyat ko tum apne hi pas rahne do mujhe na khincho khushi ke hisar mein ai 'atib' udas rahna hai mujh ko udas rahne do