andaz kahin dekha hai mastana kisi ka shaida hi hua phir dil-e-diwana kisi ka saqi nigah-e-mast se teri jo lade aankh sarshaar na kyon kar rahe paimana kisi ka maskan hai kharabi ka tabahi ka thikana dil se mere badh kar nahin virana kisi ka huron mein na ye naz na pariyon mein ye andaz pate hain chalan sab se judagana kisi ka kahte hain raqibon se wo sun kar mere ashaar mazmun hamein khush aata hai rindana kisi ka kuchh bint-e-inab par tera qabza nahin waiz theke mein nahin hai tere mai-khana kisi ka bheja hai su-e-mai-kada jo abr khuda ne maqbul hua nara-e-mastana kisi ka yaad aata hai kya kya talab-e-bosa-e-lab par munh pher ke ghunghat mein wo sharmana kisi ka zikr-e-shab-e-gham sun ke 'diler' un ka bhi kahna hum nind mein sunte nahin afsana kisi ka