aise khud par yahan khudai ki dil ki dekhi na hi sunai ki be-qarari si dil ko hone lagi jaane kis ne kahan rasai ki wo hi sad-rang hai jazira-numa mere khwabon ki kyun rihai ki tohmaten dusron pe dharte hain baat karte hain parsai ki meri aankhon ke jal pade the diye aansuon ne yun jag-hansai ki aaj daman mein phul dale the jaise gulshan ki phir gadai ki