haqiqaton ka bhi irfan ho soz-e-jaan bhi rahe khala mein bhi ho qadam sar pe aasman bhi rahe ye gar samajhna hai yaran-e-saf-go se mujhe zaban pe baat bhi ho dil ki aur zaban bhi rahe mohabbaton ke ye pahlu hain kuchh tazad nahin ki e'tibar bhi kaamil tha bad-guman bhi rahe kisi kisi ko hi hasil hai ye qarina-e-zist ki barq-e-ishq bhi ho aur aashiyan bhi rahe ye ehtimam khirad se bahut baid nahin ki rahzan bhi rahe khud hi pasban bhi rahe