nind ko nind aae jati hai raat mujh ko jagae jati hai ek ladki jo mar gai kab ki wo abhi tak bulae jati hai har tarah ret hai jo sahra ki nam barish batae jati hai aai to thi wo gul khilane ko aur kya gul khilae jati hai kamra andar se band kar ke wo qaid jag ko karae jati hai din umidon ko chhin leta hai raat sapne dikhae jati hai main haqiqat batae jata hun wo kahani sunae jati hai main bhi ab ghar mein kam hi jata hun man bhi aadat banae jati hai