apne baatin mein sameTe hue Dar aata hai

apne baatin mein samete hue dar aata hai
ek parinda jo mere sar pe utar aata hai

baat karta hai mohabbat mein junun ki koi
aur ek dagh sa sine pe ubhar aata hai

kashtiyan bich samundar mein ulat jati hain
phir madad karne ko khuddar bhanwar aata hai

mujh pe aalam ki kasrat se tajjub kaisa
kuchh darakhton pe kai bar samar aata hai

sainkadon zard kharashen bhi pas-e-parda hain
ye jo ab chehra mera saf nazar aata hai

phir kisi dil mein utarna nahin mushkil 'jami'
sher-goi ka agar tujh ko hunar aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close