bu-e-khush ki tarah har samt bikhar jaunga aahani hathon se ab koi daba de mujh ko main to muddat se chala aata hun pichhe pichhe gardish-e-waqt kabhi ruk ke sada de mujh ko din to sara hi kata misl-e-charagh-e-kushta garmi-e-jism sar-e-sham jala de mujh ko tum mujhe dekh ke jo baat kabhi kah na sake kya ye mumkin nahin aaina bata de mujh ko jin ko pane se haqiqat bhi fasana ban jae ab 'saba' aise sarabon ka pata de mujh ko