aise pur-noor-o-ziya yar ke rukhsare hain jin ke aage mah-o-khurshid bhi do tare hain koi un aankhon se us sabza-e-khat ko puchhe ye wo kante hain ki palkon se siwa pyare hain koi sabqat na kabhi khal se jitne ho bacho sanp gesu-e-siyah-fam se man haare hain kyun kar angiya mein na ho surat-e-jauza paida gore gore tere pistan hain ki mah-pare hain fasl-e-gul aae kali koi na koi chatke aaj murghan-e-sahar bagh mein chahkare hain ishq-e-atfal-e-chaman mein hain anadil betab aashiyanon ka ye aalam hai ki gahware hain qatl karta hai mujhe kyun shab-e-furqat khamosh ai moazzin mad-e-takbir nahin aare hain ek din parcha lagaenge nakirain zarur ye farishte nahin akhbar ke harkare hain khal-e-mushkin ne dil aisa hi jalaya hai ki bas koelon par bhi ye dhoka hai ki angare hain khwan-e-neamat se kabhi khat na uthaenge bakhil mal kha sakti hain taqdir ne munh mare hain na saza-war-e-hazar hun na mubarak hai safar mere palle pe na sabit hain na sayyare hain rang gulzar ka shabnam sa uda jata hai ru-ba-ru tere hazari nahin fawware hain wah kya yar ke honton ki main tarif karun jaan shirin nahin jin se wo shakar-pare hain khana-e-ishq ke mehman hain hum aur tadur dagh hain hum ko nasib aur use angare hain 'bahr' ayyam-e-judai mein na kapde phado ye samajh lo ki shab-e-wasl ke kaffare hain