hain ashk meri aankhon mein qulzum se zyaada hain dagh mere sine mein anjum se zyaada sau ramz ki karta hai ishaare mein wo baaten hai lutf khamoshi mein takallum se zyaada juz sabr dila chaara nahin ishq-e-butan mein karte hain ye zulm aur tazallum se zyaada mai-khane mein sau martaba main mar ke jiya hun hai qulqul-e-mina mujhe qum-qum se zyaada sau raqs se afzun hai pari-ru teri raftar panw ki sada lakh tarannum se zyaada taklif-e-takalluf se kiya ishq ne aazad mu-e-sar-e-shorida hain qaqum se zyaada mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasikh' nadan koi duniya mein nahin tum se zyaada