muskurane ka yahi anjam hai sab ke honton par tera hi nam hai thi kashish ki aap mein hi kuchh kami ghair pe kyun be-wajah ilzam hai khat ka mazmun hai mere hi waste go lifafe par kisi ka nam hai khwab mein bhi ye safar jari rahe zindagi aawargi ka nam hai log kyun khul ke kabhi milte nahin is shahar mein har koi bad-nam hai rutbe-dari ki lagi ek hod hai qabiliyyat bas barae nam hai mai-kade se dur hi rahta hun main tishnagi hi bas mera inam hai jam ho mahfil, na ho saqi koi hum ko apni be-khudi se kaam hai